01/11/2026
Kitchen mein cancer… ya WhatsApp ka darr? 🤔
Fridge mein rakha khana kharab.
Microwave mein garam kiya toh khatarnak.
Air fryer toh aur bhi suspicious!
Aur veg vs non-veg par toh har WhatsApp uncle ki apni university hai. Degree? “Forwarded many times.” 😄
Lekin cancer ka risk samajhne ke liye forwards se aage jaana padega.
Kya kha rahe hain?
Kitna kha rahe hain?
Aur kaise paka rahe hain?
Is video mein kitchen ke kuch popular darr ko science ki kasauti par rakhte hain. Simple shabdon mein. Thodi chai, thodi charcha ke saath. ☕
**Aapne kitchen aur cancer se juda sabse ajeeb daava kya suna hai? Comments mein batayein.**
Video ghar ke us group mein bhi share kijiye, jahaan health advice sabse tez pahunchti hai. 😊
Dr Jayesh Sharma
Cancer Surgeon | Surgical Oncologist, Raipur